Search This Blog

Tuesday, 17 May 2011

PHOOL BHI KHAAR KE PEHLU MAIN JAWAN HOTY HAIN

Behke Behke Huwe Andaaz-e-Bayan Hote Hain,
Aap Hote Hain To Phir Hosh kahan Hote Hain,

Hont Paband Hain Mafhum Bayan Hote Hain,
Koi Samjhe To Yeh Aansu Bhi Zubaan Hote Hain,

Yaad Hai Teri Nigaahon ka Badalna Mujhko,
Aise Andaaz Qayamat Mein Kahan Hote Hain,

Kyun Shab-e-Gham Na Jalaun Teri Yaadon Ke Charagh,
Unse Roshan Meri Manzil Ke Nishan Hote Hain,

Gham Hai Baqi To Kisi Roz Khushi Bhi Hogi,
Phool Bhi Khaar Ke Pehlu Mein Jawaan Hote Hain.



TaNhA.......