TANHA SAMANDAR
Zinda Laash Hai Ab To Yeh Jism, Apna Hi Bhoja Dhone Ke Liye. Thodi Si Zamin Talaashta Hoon, Khud Ko Dafnaane Ke Liye. @loNe Oce@N.
Search This Blog
Monday, 11 March 2013
Tuesday, 17 May 2011
ZINDAGI KI DUA SE DARTY HAIN
Dar badar ki saza sey dartey hein,
Khushk pattay hein hawa sey dartey hein.
Aandhion se kabhi mohabbat thi hamen,
Ab to Hawa ke jhonkey se dartey hein.
Nafraton ne wo Lazzaten bakhsheen,
Chahaton ki zia sey dartey hein.
Apno k karam hein itney,
Zindagi ki Dua sey dartey hein.
TaNhA.....
TUM *"TANHA"* NAHIN HO KE GUZAR JAO GE LOGON
Sehra hi Ghanimat hai jo ghar jaoge logo
vo aalam-e-vahshat hai ke mar jaoge logo
yaadoN ke taqqub meN agar jaoge logo
meri hi tarah tum bhi bikhar jaoge logo
vo Hawa ka jhonka bhi ho to hoshyaar hi rahna
Tum Sokhey hue patte ho, bikhar jaoge logo
Is Khaak pe mausam to guzarte hi rahe haiN
mausam hi to ho, tum bhi guzar jaoge logo
ujRe haiN kai shahr to ye shahr basa hai
ye shahr bhi chuRRa to kidhar jaoge logo
halaat ne shahroN pe bahut zulm kiye haiN
aaina agar dekha to Dar jaoge logo
us par na qadam rakhna ke ye raah-e-Wafa hai
Tum *"TANHA"* NahiN ho ke guzar jaoge logo.
TaNhA.........

WAQT NAHIN
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.
TaNhA......

YEHI TU PYAR HAI
Mein ne kaha
"wo ajnabi hai"
Dil ne kaha
"ye dil ki lagi hai"
Main ne kaha
"wo sapna hai"
Dil ne kaha
"phir bhe apna hai"
Mein ne kaha
"wo do pal ki mulakat hai"
Dil ne kaha
"wo sadyon ka sath hai"
Mein ne kaha
"wo meri haar hai"
Dil ne kaha
"ye hi to pyar hai.
"wo ajnabi hai"
Dil ne kaha
"ye dil ki lagi hai"
Main ne kaha
"wo sapna hai"
Dil ne kaha
"phir bhe apna hai"
Mein ne kaha
"wo do pal ki mulakat hai"
Dil ne kaha
"wo sadyon ka sath hai"
Mein ne kaha
"wo meri haar hai"
Dil ne kaha
"ye hi to pyar hai.
TaNhA......
AB KYA CHAHEN KE HUM KO TU IN DINON
Wo silsle
wo shoq
wo nisbat nahi rahi
.
ab zindgai me hijar ki vehshat nahi rhi
.
phir youn hova k koi apna nahi rha
.
phir youn hova k dard mn shidat nahi rahi
.
phir youn hova k ho gaya musroof wo bohat
or hm ko yad karny ki b fursat nahi rahi
.
Ab kya kisi ko chahien k humko to in dino
.
khud apny ap sy b mohbt nahi rahi.

SHIDDAT SE KISI SHAKHS KO CHAHA NA KAREN GAY
Ghazlon mein tere ishq ka churcha na karen gay
Hum tujh ko yuon sar-e-aam ruswa na karen gay
Kiyon hum peh uthaeen sang-e-malamat ki fasilein
Behtar hai tere shehar mein hum aaya na karen gay
Yeh chaand yeh taary yeh haseen raat ka aalam
Munsoob tere naam se kya kya na karen gay
Wiraan hoey qasr-e-tamana ke dareechy
Aabaad kabhi pyar ki ab duniya na karen gay
Har cheez ki bohtaat mein nuqsaan bohat hai
Shiddat se kisi shakhs ko chaha na karen gay.
TaNhA.......

TERE KIS KAAM KA
Tu bhi Auron ki trah mujh se kinaara kar le
Ik Shehr-e-fana hon, Tere kis kaam ka
Ik bujhta sa diya hon, Tere kis kaam ka
Tu rafaqat ke liye or kisi ko chun ley
Mein haara howa Sa, Tere kis kaam ka
Tujhe darkaar hain phoolon ke mehakte saaye
Main to sehra Tapta howa, Tere kis kaam ka
Tu bhi Auron ki tarah mujh se kinaara ker le
Saari Duniya se bura hon, Tere kis kaam ka.

PHOOL BHI KHAAR KE PEHLU MAIN JAWAN HOTY HAIN
Behke Behke Huwe Andaaz-e-Bayan Hote Hain,
Aap Hote Hain To Phir Hosh kahan Hote Hain,
Hont Paband Hain Mafhum Bayan Hote Hain,
Koi Samjhe To Yeh Aansu Bhi Zubaan Hote Hain,
Yaad Hai Teri Nigaahon ka Badalna Mujhko,
Aise Andaaz Qayamat Mein Kahan Hote Hain,
Kyun Shab-e-Gham Na Jalaun Teri Yaadon Ke Charagh,
Unse Roshan Meri Manzil Ke Nishan Hote Hain,
Gham Hai Baqi To Kisi Roz Khushi Bhi Hogi,
Phool Bhi Khaar Ke Pehlu Mein Jawaan Hote Hain.

Sunday, 15 May 2011
MUJHE PAANE KI KOSHISH TU KARO
Pani ki lehron pe hurf-e-bayan likhna choor do,
Sahil pe rait k kachy makaan banana chor do,
Chaho to besbab chaho humain warna,
Meri mano to chaht k asbab banana choor do,
Zamana nam hay mushkilon or nafraton ka,
Mere liye zamana ya mujhy zamany k liye chor do,
Hosla to bohut deti hai mohabbat bhi nafrat bhi,
Mujhay panay ki koshish to karo chahay hasil kar k choor do.
TaNhA........
Subscribe to:
Posts (Atom)