Search This Blog

Wednesday 27 April 2011

ZABAN SUKHAN KO, SUKHAN BANKPAN KO TARSE GA

Zaban sukhan ko, sukhan bankpan ko tarsega
sukhankada meri tarz-e-sukhan ko tarsega

Naye pyale sahi tere daur main saqi
ye daur meri sharab-e-kohan ko tarsega

Mujhe to khair watan chor k aman na mili
Watan bhi mujh se garib-ul-watan ko tarsega

Unhin k dam se farozan hain millaton k charag
Zamana sohbat-e-arbab-e-fan ko tarsega

Badal sako to badal do ye bagban warna
Ye bag saya-e-sard-o-saman ko tarsega

Hawa-e-zulm yahi hai to dekhna ek din
Zamin pani ko suraj kiran ko tarsega.

@loNe..........