Search This Blog

Friday 29 April 2011

TU KYA HOGA

Nazar fareb-e-kaza kha gai to kya hoga
hayat maut se takra gai to kya hoga

nai sahar ke bahut log muntzir hain magar
nai sahar bhi kajla gai to kya hoga

na rahnumaoon ki majalis main le chalo mujhko
mai be-adab hoon hansi a gai to kya hoga

ghum-e-hayat se beshaq hai khudkushi asan
magar jo maut bhi sharma gai to kya hoga

shabab-e-lala-o-gul ko pukarnewaloo
khiza-sirisht bahar a gai to kya hoga


ye fikr kar ki is asodagi ke dhoke main
teri Khudi ko bhi maut a gai to kya hog

Khushi chini hai to Ghum ka bhi aitmad na kar
jo rooh Ghum se bhi ukta gai to kya hoga.

@loNe........