Search This Blog

Wednesday 27 April 2011

AB TU YEH QISSA PURANA HUA

Ek muddat hui ek zamana hua
khak-e-gulshan mein jab ashiyana hua

Zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
Zindagi ka chalan mujremana hua

Phul jalte rahe chand hanste raha
Aarzu ka muqammal fasana hua

Daag dil k shahanshah k sike bane
Dil ka muflis-kada jab khazana hua

Rahbar ne palat kar na dekha kabhi
Rahr-o-raste ka nishana hua

Ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
Har jagah ap ka astana hua

Dekh mizarab se khun tapkane laga
Saaz ka tar marg-e-tarana hua

Pahle hoti thi koi wafa-parawari
Ab to "*TANHA*" ye qissa purana hua.

@loNe......