Search This Blog

Friday 29 April 2011

MAGAR YEH HUM TAK AATEY AATEY FAANI HO GAYI HAI

Zarorat se Zyada Meherbani ho gayi hai,
Tu Goya kya Khatam Sqari Kahani ho gayi hai,

Dararain Barh Rahi hain Qurbaton Main Rafta Rafta,
Hamari Dosti Shayad Purani ho gayi hai,

Bina Poochay Mujhe Phool Bhejen hain Us Ne,
Usay Meri Taraf se Badgumani ho gayi hai,

Buhat Darbarion Main Ghir gaye hain Zill-e-Elahi,
Ab Mashkook Un ki Hukmarani ho gayi hai,

Woh Sab se Zyada Zarf ka Charcha kare gi,
Woh Larki Jo Achanak Khandani ho gayi hai,

Kamal-e-Zarf-e-Giriya ki Sanad Hasil Thi jis ko,
Suna hai Ab Woh Patthar Aankh Paani ho gayi hai,

Usay Mujh se Shikayat Thi Mujhe Us se Gila Tha,
Zara si Baat Barh kar Daastani ho gayi hai,

Mohabbat Meer-o-Ghalib Tak Tu Lafani Thi "TANHA"
Magar Yeh Hum Tak Aaty Aaty Faani ho gayi hai.

@loNe...............

No comments: