Search This Blog

Friday 29 April 2011

IS JAHAN KE PINJREY MAIN YEH ZINDAGI EK QAID HAI

Is Jahaan Ke Pinjre Mein Ye Zindgi Ik Kaid Hai
Is Kaid Se Mujhe Aazaad Kerane Maut Aayegi

Is Duniya Mein Jiss Nagri Ka Jikar Hum Sunte Hain
Is Nagri Se Uss Duniya Mein Lejaane Maut Aayegi

Is Kaid Se Mujhe Azaad Kerane Maut Aayegi
Her Shab Mere Bina Bulaaye Khwaab Aate Hain

Ek Shab Katil Ke Bahaane Maut Aayegi
Is Kaid Se Mujhe Azaad Karane Maut Aayegi

Jeevan To Phir Bina Bataaye Kat Jaayega
Lutne In Saanso Ke Khazaane Maut Aayegi

Is Kaid Se Mujhe Azaad Kerane Maut Aayegi
Tujhko Maalum Ho Na Ho Zindgi Teri Kitaab Mein

Kuch Raaz Hain Jo Mujhko Samjhaane Maut Aayegi
Iss Kaid Se Mujhe Azaad Karane Maut Aayegi

Umar Bhar Jiss Khuda Ki Talaash Mein Zindgi Raayga Ki
Us Khuda Se Hi Mujhko Milwane Maut Aayegi

Is Kaid Se Mujhe Azaad Kerane Maut Aayegi
Ek Shab Katil Ke Bahaane Maut Aayegi.

T@NHA.

No comments: